Wednesday, January 18, 2012

Iss Lamhe Ki Duvidha


Din dhalne ke thodi der baad

Raat aane se thodi der pehle

Thoda sa late 'lunch' kiya, thodi si jaldi 'dinner' 

Chai banayi, shehriyat ka namoona, laptop on kiya

Kuch adhoora likha huya poora karna tha

FB par kuch apney status par aaye comments ko reply kiya

Kuch dosto.n ke status ko 'like' kiya, kuch par comment bhi kiya..

Twitter pe login kiya, dekhne lagi toh dekha ek tweet

Kisi ne tweet kiya tha, MAA KE HAATH KA BANA GAZAR KA HALWA

Chai toh meri meethi hi thi

Maa ki yaad mein girey aansu ne meri meethi chai ko namkeen kar diya.. 


Ab duvidha mein hoon..
Aansu piyoon ke yeh namkeen chai?

1 comment:

  1. B.. E.. A.. Uuu..Tiful...

    well mein yahan kuch likh raha tha aap ke liye... but wo bahut bada ho gaya.. aur ek humble se poetry ka rukh le liya.. ek koshish hai.. aap jaise poet ke saamne apni ek choti si koshish rakhne ke zurrat kar raha hun.. but har ek shad dil se nikle hain.. gaur farmaayen..

    http://thesolutionbaba.wordpress.com/2012/01/18/shabodon-ka-wo-garam-garam-sa-sweater/?preview=true&preview_id=368&preview_nonce=0b85bb13b9

    ReplyDelete